baat karne kī shab-e-vasl ijāzat de do
mujh ko dam bhar ke liye ġhair kī qismat de do
tum ko ulfat nahīñ mujh se ye kahā thā maiñ ne
hañs ke farmāte haiñ tum apnī mohabbat de do
ham hī chūke sahar-e-vasl manānā hī na thā
ab hai ye hukm ki jaane kī ijāzat de do
muft lete bhī nahīñ pher ke dete bhī nahīñ
yuuñ sahī ḳhair ki dil kī hameñ qīmat de do
kam nahīñ pīr-e-ḳharābāt-nashīñ se 'beḳhud'
mai-kasho to use mai-ḳhāne kī ḳhidmat de do