Bekhud Dehlvi

bani thi dil pe kuchh aisi ki iztirab na tha

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
banī thī dil pe kuchh aisī kī iztirāb na thā
ġhashī ko aap ne samjhā thā ḳhvāb ḳhvāb na thā
ye husn-e-zan hai ki 'beḳhud' kabhī ḳharāb na thā
kasar thī itnī ki ālūda-e-sharāb na thā
hamārī aañkh se tum dekhte to khul jaatā
ki ā.īne meñ bhī is shakl kā javāb na thā
hazāroñ is dil-e-be-ārzū ne Dhaa.e sitam
bhale ko aur mire saath kuchh azaab na thā
mujhe ye rashk ki dushman kā zikr kyuuñ aa.e
unheñ ye naaz mirī baat kā javāb na thā
ye but samajhte the 'beḳhud' ko bār-e-ḳhātir kyuuñ
kisī ke dil meñ to vo ḳhānumāñ-ḳharāb na thā
Top Urdushayar.com