Bekhud Dehlvi

hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasae kyun

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasā.e kyuuñ
maut abhī se aa.e kyuuñ jaan abhī se jaa.e kyuuñ
ishq kā rutba hai baḌā ishq ḳhudā se jā milā
aap ne kyā samajh liyā aap ye muskurā.e kyuuñ
merā ġhalat gila sahī zulm-o-jafā ravā sahī
nāz-e-sitam bajā sahī aañkh koī churā.e kyuuñ
tujh se ziyāda nāznīñ is meñ hazāroñ haiñ hasīñ
dil hai ye ā.īna nahīñ sāmne tere aa.e kyuuñ
āshiq-e-nā-murād ko is kī razā pe chhoḌ do
is kī agar ḳhushī na ho ġham se najāt paa.e kyuuñ
hausla-e-sitam baḌhe teġh-o-sināñ kā dam baḌhe
ek hī tīr-e-nāz meñ kījiye haa.e haa.e kyuuñ
'ġhālib'-e-ḳhush-bayāñ kahāñ 'beḳhud'-e-ḳhasta-jāñ kahāñ
tab.a kā imtihāñ kahāñ shaad mujhe satā.e kyuuñ
Top Urdushayar.com