Bekhud Dehlvi

de mohabbat to mohabbat mein asar paida kar

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
de mohabbat to mohabbat meñ asar paidā kar
jo idhar dil meñ hai yā rab vo udhar paidā kar
dūd-e-dil ishq meñ itnā to asar paidā kar
sar kaTe sham.a kī mānind to sar paidā kar
phir hamārā dil-e-gum-gashta bhī mil jā.egā
pahle tū apnā dahan apnī kamar paidā kar
kaam lene haiñ mohabbat meñ bahut se yā rab
aur dil de hameñ ik aur jigar paidā kar
tham zarā ai adam-ābād ke jaane vaale
rah ke duniyā meñ abhī zād-e-safar paidā kar
jhuuT jab bolte haiñ vo to duā hotī hai
yā ilāhī mirī bātoñ meñ asar paidā kar
ā.īna dekhnā is husn pe āsān nahīñ
pesh-tar aañkh mirī merī nazar paidā kar
sub.h-e-furqat to qayāmat kī sahar hai yā rab
apne bandoñ ke liye aur sahar paidā kar
mujh ko rotā huā dekheñ to jhulas jaa.eñ raqīb
aag paanī meñ bhī ai soz-e-jigar paidā kar
miT ke bhī dūri-e-gulshan nahīñ bhātī yā rab
apnī qudrat se mirī ḳhaak meñ par paidā kar
shikva-e-dard-e-judā.ī pe vo farmāte haiñ
ranj sahne ko hamārā sā jigar paidā kar
din nikalne ko hai rāhat se guzar jaane de
ruuTh kar tū na qayāmat kī sahar paidā kar
ham ne dekhā hai ki mil jaate haiñ laḌne vaale
sulh kī ḳhū bhī to ai bāni-e-shar paidā kar
mujh se ghar aane ke vaade par bigaḌ kar bole
kah diyā ġhair ke dil meñ abhī ghar paidā kar
mujh se kahtī hai kaḌak kar ye kamāñ qātil kī
tiir ban jaa.e nishāna vo jigar paidā kar
kyā qayāmat meñ bhī parda na uThegā ruḳh se
ab to merī shab-e-yaldā kī sahar paidā kar
dekhnā khel nahīñ jalva-e-dīdār tirā
pahle muusā sā koī ahl-e-nazar paidā kar
dil meñ bhī miltā hai vo kaaba bhī us kā hai maqām
raah nazdīk kī ai azm-e-safar paidā kar
zof kā hukm ye hai hoñT na hilne paa.eñ
dil ye kahtā hai ki naale meñ asar paidā kar
naale 'beḳhud' ke qayāmat haiñ tujhe yaad rahe
zulm karnā hai to patthar kā jigar paidā kar
Top Urdushayar.com