teshe se koī kaam na farhād se huā
jo kuchh huā vo ishq kī imdād se huā
merī taraf jo zulf se pheñkā nikāl kar
aisā qusūr kyā dil-e-nāshād se huā
apne ḳhirām-e-nāz kī un ko ḳhabar nahīñ
kahte haiñ hashr terī hī fariyād se huā
be-hukm yuuñ kisī ko satātā nahīñ falak
mujh par ye zulm aap ke irshād se huā
'beḳhud' kī tarah kaun tumheñ jaan de sakā
ye kaam ishq meñ usī nāshād se huā