tum hamāre dil-e-shaidā ko nahīñ jānte kyā
aur ġhairoñ kī tamannā ko nahīñ jānte kyā
kahīñ hotā bhī hai jāñ-baḳhsh lab-e-ahd-shikan
tere is jhūTe masīhā ko nahīñ jānte kyā
pahle dil thaam lo phir ā.īna tum haath meñ lo
apne husn-e-ruḳh-e-zebā ko nahīñ jānte kyā
kar na deñ us ko mukaddar kahīñ ā.h-e-'beḳhud'
aap us ā.īna-sīmā ko nahīñ jānte kyā