Bekhud Dehlvi

bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karte ho

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
bazm-e-dushman meñ bulāte ho ye kyā karte ho
aur phir aañkh churāte ho ye kyā karte ho
ba.ad mere koī mujh sā na milegā tum ko
ḳhaak meñ kis ko milāte ho ye kyā karte ho
ham to dete nahīñ kuchh ye bhī zabardastī hai
chhīn kar dil liye jaate ho ye kyā karte ho
kar chuke bas mujhe pāmāl adū ke aage
kyuuñ mirī ḳhaak uḌāte ho ye kyā karte ho
chhīñTe paanī ke na do niiñd bharī āñkhoñ par
sote fitne ko jagāte ho ye kyā karte ho
ho na jaa.e kahīñ dāman kā chhuḌānā mushkil
mujh ko dīvāna banāte ho ye kyā karte ho
mohtasib ek balā-nosh hai ai pīr-e-muġhāñ
chaaT par kis ko lagāte ho ye kyā karte ho
kaam kyā dāġh-e-suvaidā kā hamāre dil par
naqsh-e-ulfat ko miTāte ho ye kyā karte ho
phir isī muñh pe nazākat kā karoge da.avā
ġhair ke naaz uThāte ho ye kyā karte ho
us sitam-kesh ke chakmoñ meñ na aanā 'beḳhud'
hāl-e-dil kis ko sunāte ho ye kyā karte ho
Top Urdushayar.com