jhuuT sach aap to ilzām diye jaate haiñ
baat sunte nahīñ dushnām diye jaate haiñ
tirchhī nazroñ se kiye us ne bahut dil zaḳhmī
tiir TeḌhe magar kaam diye jaate haiñ
kah gayā ye bhī koī ruuTh ke jaane vaalā
ham tujhe maut kā paiġhām diye jaate haiñ
pāsbān jaag uTheñ vo to unheñ de denā
likh ke kāġhaz pe ye ik naam diye jaate haiñ
aap ke lutf-o-ināyat kā yahī hai badla
ġham liye jaate haiñ ārām diye jaate haiñ
dil huā jaan huī un kī bhalā kyā qīmat
aisī chīzoñ ke kahīñ daam diye jaate haiñ
tīr-e-qātil ko kaleje se lagā rakkhā hai
ham to dushman ko bhī ārām diye jaate haiñ
kaam aa jā.egā dushman kī mohabbat meñ kabhī
ehtiyātan dil-e-nākām diye jaate haiñ
ab to khul khele vo 'beḳhud' se ḳhudā ḳhair kare
ab to ḳhud bhar ke use jaam diye jaate haiñ