Bekhud Dehlvi

aa gae phir tere arman miTane hum ko

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
aa ga.e phir tire armān miTāne ham ko
dil se pahle ye lagā deñge Thikāne ham ko
sar uThāne na diyā hashr ke din bhī zālim
kuchh tire ḳhauf ne kuchh apnī vafā ne ham ko
kuchh to hai zikr se dushman ke jo sharmāte haiñ
vahm meñ Daal diyā un kī hayā ne ham ko
zulm kā shauq bhī hai sharm bhī hai ḳhauf bhī hai
ḳhvāb meñ chhup ke vo aate haiñ satāne ham ko
chaar dāġhoñ pe na ehsān jatāo itnā
kaun se baḳhsh diye tum ne ḳhazāne ham ko
baat karne kī kahāñ vasl meñ fursat 'beḳhud'
vo to dete hī nahīñ hosh meñ aane ham ko
Top Urdushayar.com