Bekhud Dehlvi

hijab dur tumhaara shabab kar dega

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
hijāb duur tumhārā shabāb kar degā
ye vo nasha hai tumheñ be-hijāb kar degā
mirā ḳhayāl mujhe kāmyāb kar degā
ḳhudā isī ko zuleḳhā kā ḳhvāb kar degā
mirī duā ko ḳhudā mustajāb kar degā
tirā ġhurūr mujhe kāmyāb kar degā
ye daaġh khaa.e haiñ jis ke firāq meñ ham ne
vo ik nazar meñ unheñ āftāb kar degā
kiyā hai jis ke laḌakpan ne dil mirā TukḌe
kaleja ḳhuun ab us kā shabāb kar degā
sunī nahīñ ye masal ghar kā bhedī lanka Dhaa.e
tujhe to dil kī ḳhabar iztirāb kar degā
na dekhnā kabhī ā.īna bhuul kar dekho
tumhāre husn kā paidā javāb kar degā
kisī ke hijr meñ is dard se duā māñgī
nidā.eñ aa.iiñ ḳhudā kāmyāb kar degā
ġham-e-firāq meñ girye ko shaġhl samjhā thā
ḳhabar na thī mirī miTTī ḳharāb kar degā
kise ḳhabar thī tire zulm ke liye allāh
mujhī ko roz-e-azal intiḳhāb kar degā
uThā na hashr ke fitna ko chaal se nādāñ
tire shahīd kā be-lutf ḳhvāb kar degā
vo gāliyāñ hameñ deñ aur ham duā.eñ deñ
ḳhajil unheñ ye hamārā javāb kar degā
javāb-e-sāf na de mujh ko ye vo aafat hai
mire sukūn ko bhī iztirāb kar degā
kahīñ chhupā.e se chhuptā hai laal gudḌī meñ
faroġh-e-husn tujhe be-naqāb kar degā
tirī nigāh se baḌh kar hai charḳh kī gardish
mujhe tabāh ye ḳhāna-ḳharāb kar degā
Dubo.egī mujhe ye chashm-e-tar mohabbat meñ
ḳharāb kaam mirā iztirāb kar degā
raqīb naam na le ishq kā jatā denā
ye shola vo hai jalā kar kabāb kar degā
vafā to ḳhaak karegā mirā udū tum se
vafā ke naam kī miTTī ḳharāb kar degā
ajiib shaḳhs hai pīr-e-muġhāñ se mil zāhid
nashe meñ chuur tujhe be-sharāb kar degā
baḌoñ kī baat baḌī hai hameñ nahīñ bāvar
jo āsmāñ se na hogā habāb kar degā
bhalā.ī apnī hai sab kī bhalā.ī meñ 'beḳhud'
kabhī hameñ bhī ḳhudā kāmyāb kar degā
Top Urdushayar.com