bechne aa.e koī kyā dil-e-shaidā le kar
daam dete hī nahīñ aap to saudā le kar
chaar din bhī to na rakkhā dil-e-shaidā le kar
aap ne ham se bhī kam-baḳht ko khoyā le kar
qatl ke ba.ad nazākat se jo thak jaate haiñ
baiTh jaate haiñ vo kushte kā sahārā le kar
ġhair kā qatl kuchh aisā to nahīñ hai mushkil
chhoḌ do haath koī naam hamārā le kar
saañs ke saath jo hotī hai khaTak siine meñ
zo.af se dard bhī uThtā hai sahārā le kar
aa gayā mujh ko nazar apnī vafā kā anjām
maiñ ne talvār ko qātil se jo dekhā le kar
ab to 'beḳhud' ko ye da.avā hai ba-qaul-e-ustād
aadmī ishq kare naam hamārā le kar