lutf se matlab na kuchh mere satāne se ġharaz
shoḳhiyoñ se kaam un ko muskurāne se ġharaz
us galī se kaam un kā sāmnā ho yā na ho
mujh ko ho aanā vahāñ tak har bahāne se ġharaz
shikva-e-aġhyār par zālim ne yuuñ Taalā mujhe
tum ko ham se kaam hai tum ko zamāne se ġharaz
koī mausam koī din ho is se kuchh matlab nahīñ
hazrat-e-'beḳhud' ko hai piine pilāne se ġharaz