Bekhud Dehlvi

uThe teri mahfil se to kis kaam ke uTThe

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
uThe tirī mahfil se to kis kaam ke uTThe
dil thaam ke baiThe the jigar thaam ke uTThe
dam bhar mire pahlū meñ unheñ chain kahāñ hai
baiThe ki bahāne se kisī kaam ke uTThe
us bazm se uTh kar to qadam hī nahīñ uThtā
ghar sub.h ko pahuñche haiñ kahīñ shaam ke uTThe
hai rashk ki ye bhī kahīñ shaidā na hoñ us ke
turbat se bahut log mire naam ke uTThe
afsāna-e-husn us kā hai har ek zabān par
parde na kabhī jis ke dar-o-bām ke uTThe
āġhāz-e-mohabbat meñ maze dil ne uḌaa.e
pūchhe to koī rañj bhī anjām ke uTThe
dil nazr meñ de aa.e ham ik shoḳh ko 'beḳhud'
bāzār meñ jab daam na is jaam ke uTThe
Top Urdushayar.com