Bekhud Dehlvi

aisa bana diya tujhe qudrat KHuda ki hai

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
aisā banā diyā tujhe qudrat ḳhudā kī hai
kis husn kā hai husn adā kis adā kī hai
chashm-e-siyāh-e-yār se sāzish hayā kī hai
lailā ke saath meñ ye sahelī balā kī hai
tasvīr kyuuñ dikhā.eñ tumheñ naam kyuuñ batā.eñ
laa.e haiñ ham kahīñ se kisī bevafā kī hai
andāz mujh se aur haiñ dushman se aur Dhañg
pahchān mujh ko apnī parā.ī qazā kī hai
maġhrūr kyuuñ haiñ aap javānī par is qadar
ye mere naam kī hai ye merī duā kī hai
dushman ke ghar se chal ke dikhā do judā judā
ye bāñkpan kī chaal ye nāz-o-adā kī hai
rah rah ke le rahī hai mire dil meñ chuTkiyāñ
phislī huī girah tire band-e-qabā kī hai
gardan muḌī nigāh laḌī baat kuchh na kī
shoḳhī to ḳhair aap kī tamkīñ balā kī hai
hotī hai roz bāda-kashoñ kī duā qubūl
ai mohtasib ye shān-e-karīmī ḳhudā kī hai
jitne gile the un ke vo sab dil se dhul ga.e
jhepī huī nigāh talāfī jafā kī hai
chhuptā hai ḳhuun bhī kahīñ muTThī to kholiye
rañgat yahī hinā kī yahī bū hinā kī hai
kah do ki be-vazū na chhue us ko mohtasib
botal meñ band ruuh kisī pārsā kī hai
maiñ imtihān de ke unheñ kyuuñ na mar gayā
ab ġhair se bhī un ko tamannā vafā kī hai
dekho to jā ke hazrat-e-'beḳhud' na huuñ kahīñ
dāvat sharāb-ḳhāne meñ ik pārsā kī hai
Top Urdushayar.com