Bekhud Dehlvi

pachhtaoge phir humse shararat nahin achchhi

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
pachhtāoge phir ham se sharārat nahīñ achchhī
ye shoḳh-nigāhī dam-e-ruḳhsat nahīñ achchhī
sach ye hai ki ghar se tire jannat nahīñ achchhī
hūroñ kī tire sāmne sūrat nahīñ achchhī
bhūle se kahā maan bhī lete haiñ kisī kā
har baat meñ takrār kī aadat nahīñ achchhī
kyuuñ kal kī tarah vasl meñ tashvīsh hai itnī
tum aaj bhī kah do ki tabī.at nahīñ achchhī
jab itnī samajh hai to samajh kyuuñ nahīñ jaate
maiñ bhī yahī kahtā huuñ ki hujjat nahīñ achchhī
hūroñ kī taraf aañkh uThā kar bhī na dekhā
kyuuñ ab bhī kahoge tirī nīyat nahīñ achchhī
pahuñchā hai qayāmat meñ bhī afsāna-e-ulfat
itnī bhī kisī baat kī shohrat nahīñ achchhī
ham aib samajhte haiñ har ik apne hunar ko
kyā kījiye majbūr haiñ qismat nahīñ achchhī
mil aa.iye dekh aa.iye aaj aap bhī jā kar
'beḳhud' kī ka.ī roz se hālat nahīñ achchhī
Top Urdushayar.com