muñh pher kar vo kahte haiñ bas maan jā.iye
is sharm is lihāz ke qurbān jā.iye
bhūle nahīñ haiñ ham vo mudārāt raat kī
jī chāhtā hai phir kahīñ mehmān jā.iye
bole vo muskurā ke bahut iltijā ke ba.ad
jī to ye chāhtā hai tirī maan jā.iye
aage hai ghar raqīb kā bas saath ho chukā
ab aap kā ḳhudā hai nigahbān jā.iye
ulfat jatā ke dost ko dushman banā liyā
'beḳhud' tumhārī aql ke qurbān jā.iye