dil meñ phir vasl ke armān chale aate haiñ
mere rūThe hue mehmān chale aate haiñ
un ke aate hī huā hasrat-o-armāñ kā hujūm
aaj mehmān pe mehmān chale aate haiñ
aap hoñ ham hoñ mai-e-nāb ho tanhā.ī ho
dil meñ rah rah ke ye armān chale aate haiñ
us ne ye kah ke mujhe duur hī se rok diyā
aap se jaan na pahchān chale aate haiñ
ruuTh baiThe haiñ magar chheḌ chalī jaatī hai
kabhī paiġhām kabhī paan chale aate haiñ
ye rahā hazrat-e-'beḳhud' kā makāñ aao chaleñ
abhī dam bhar meñ mirī jaan chale aate haiñ