Bekhud Dehlvi

kyun kah ke dil ka haal use bad-guman karun

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
kyuuñ kah ke dil kā haal use bad-gumāñ karūñ
ye raaz vo nahīñ hai jise maiñ bayāñ karūñ
mujh ko ye zid ki vasl kā iqrār tum se luuñ
tum ko ye haT ki maiñ na kabhī tujh se haañ karūñ
ye kah rahī hai mujh se kisī kī nigāh-e-sharm
fursat agar hayā se mile shoḳhiyāñ karūñ
tū mujh ko aazmā ke vafā-dāriyoñ meñ dekh
maiñ bevafā.iyoñ meñ tirā imtihāñ karūñ
uktā gayā hai shar.a kī pābandiyoñ se jī
dil chāhtā hai bai.at-e-pīr-e-muġhāñ karūñ
'beḳhud' rafīq hai na koī ham-tarīq hai
dil par jo kuchh guzartī hai kis se bayāñ karūñ
Top Urdushayar.com