qayāmat hai jo aise par dil-e-ummīd-vār aa.e
jise va.ade se nafrat ho jise milne se aar aa.e
mirī be-tābiyāñ chhā jaa.eñ yā-rab un kī tamkīñ par
taḌaptā dekh luuñ āñkhoñ se jab mujh ko qarār aa.e
miTā duuñ apnī hastī ḳhaak kar duuñ apne-āpe ko
mirī bātoñ se gar dushman ke bhī dil meñ ġhubār aa.e
ijāzat māñgtī hai duḳht-e-raz mahfil meñ aane kī
mazā ho shaiḳh-sāhib kah uTheñ be-iḳhtiyār aa.e
ḳhudā jaane ki vo 'beḳhud' se itne bad-gumāñ kyuuñ haiñ
ki har jalse meñ farmāte haiñ dekho hoshiyār aa.e