tumheñ ham chāhte to haiñ magar kyā
mohabbat kyā mohabbat kā asar kyā
vafā kā naam to pīchhe liyā hai
kahā thā tum ne is se peshtar kyā
hazāroñ baar bigḌe raat bhar meñ
nibhegī tum se apnī umr bhar kyā
nazar miltī nahīñ uThtī nahīñ aañkh
koī pūchhe ki hai madd-e-nazar kyā
shikāyat sun ke vo 'beḳhud' se bole
tujhe ai be-ḳhabar merī ḳhabar kyā