āshiq samajh rahe haiñ mujhe dil lagī se aap
vāqif nahīñ abhī mire dil kī lagī se aap
dil bhī kabhī milā ke mile haiñ kisī se aap
milne ko roz milte haiñ yuuñ to sabhī se aap
sab ko javāb degī nazar hasb-e-mudda.ā
sun liije sab kī baat na kiije kisī se aap
marnā mirā ilaaj to be-shak hai soch luuñ
ye dostī se kahte haiñ yā dushmanī se aap
hogā judā ye haath na gardan se vasl meñ
Dartā huuñ uḌ na jaa.eñ kahīñ nāzukī se aap
zāhid ḳhudā gavāh hai hote falak par aaj
lete ḳhudā kā naam agar āshiqī se aap
ab ghūrne se fā.eda bazm-e-raqīb meñ
dil par chhurī to pher chuke be-ruḳhī se aap
dushman kā zikr kyā hai javāb us kā dījiye
raste meñ kal mile the kisī aadmī se aap
shohrat hai mujh se husn kī is kā mujhe hai rashk
hote haiñ mustafīz mirī zindagī se aap
dil to nahīñ kisī kā tujhe toḌte haiñ ham
pahle chaman meñ pūchh leñ itnā kalī se aap
maiñ bevafā huuñ ġhair nihāyat vafā shi.ār
merā salām liije mileñ ab usī se aap
aadhī to intizār hī meñ shab guzar ga.ī
us par ye turra so bhī raheñge abhī se aap
badlā ye ruup aap ne kyā bazm-e-ġhair meñ
ab tak mirī nigāh meñ haiñ ajnabī se aap
parde meñ dostī ke sitam kis qadar hue
maiñ kyā batā.ūñ pūchhiye ye apne jī se aap
ai shaiḳh aadmī ke bhī darje haiñ muḳhtalif
insān haiñ zarūr magar vājibī se aap
mujh se salāh lī na ijāzat talab huī
be-vaj.h ruuTh baiThe haiñ apnī ḳhushī se aap
'beḳhud' yahī to umr hai aish o nashāt kī
dil meñ na apne tauba kī Thāneñ abhī se aap