na armāñ ban ke aate haiñ na hasrat ban ke aate haiñ
shab-e-va.ada vo dil meñ dard-e-furqat ban ke aate haiñ
pareshāñ zulf muñh utrā huā mahjūb sī āñkheñ
vo bazm-e-ġhair se āshiq kī sūrat ban ke aate haiñ
bane haiñ shaiḳh-sāhib naql-e-majlis bazm-e-rindāñ meñ
jahāñ tashrīf le jaate haiñ hazrat ban ke aate haiñ
na rakhnā ham se kuchh matlab ye pahlī shart hai un kī
vo jis ke paas aate haiñ amānat ban ke aate haiñ
sitam kī ḳhvāhisheñ 'beḳhud' ġhazab kī ārzueñ haiñ
javānī ke ye din shāyad musībat ban ke aate haiñ