ab kisī baat kā tālib dil-e-nāshād nahīñ
aap kī ain-ināyat hai ye be-dād nahīñ
aap sharmā ke na farmā.eñ hameñ yaad nahīñ
ġhair kā zikr hai ye aap kī rūdād nahīñ
dam nikal jā.egā hasrat hī meñ ik din apnā
sach kahā tum ne kuchh insān kī buniyād nahīñ
pahle naale ko sunā ġhaur se phir hañs ke kahā
aap kī saarī hī banāvaT hai ye fariyād nahīñ
ba.ad ustād ke hai ḳhatm ġhazal 'beḳhud' par
mo.ajaza kahiye ise tab-e-ḳhudā-dād nahīñ