Bekhud Dehlvi

mashuq hamein baat ka pura nahin milta

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
māshūq hameñ baat kā puurā nahīñ miltā
dil jis se milā.eñ koī aisā nahīñ miltā
duniyā meñ agar DhūñDiye to kyā nahīñ miltā
sab milte haiñ ik chāhne vaalā nahīñ miltā
ushshāq se yuuñ aañkh tumhārī nahīñ miltī
aġhyār se dil jaise hamārā nahīñ miltā
rahtī hai kasar ek na ik baat kī sab meñ
ham ko to in achchhoñ meñ bhī achchhā nahīñ miltā
kuchh haal sune kuchh hameñ tadbīr batā.e
ġham-ḳhvār to kaisā koī itnā nahīñ miltā
kyā muft meñ tum dil ke ḳharīdār bane ho
be-ḳharch kiye daam ye saudā nahīñ miltā
jab dekhiye hamrāh hai dushman kā tasavvur
ham se to vo ḳhalvat meñ bhī tanhā nahīñ miltā
dil koī milātā nahīñ TuuTe hue dil se
duniyā meñ hameñ joḌ hamārā nahīñ miltā
barbād kiyā yaas ne yuuñ ḳhāna-e-dil ko
DhūñDe se bhī ab dāġh-e-tamannā nahīñ miltā
jo baat hai duniyā se nirālī hai na.ī hai
andāz kisī meñ bhī tumhārā nahīñ miltā
āñkheñ kahe detī haiñ ki dil saaf nahīñ hai
miltā hai vo is rañg se goyā nahīñ miltā
kahte haiñ jalāne ko ham aġhyār ke muñh par
aisoñ se to vo rashk-e-masīhā nahīñ miltā
zāhir hai mulāqāt hai bātin meñ judā.ī
tum milte ho dil ham se tumhārā nahīñ miltā
afsos to ye hai ki tumheñ qadr nahīñ hai
āshiq to zamāne meñ bhī DhūñDā nahīñ miltā
kahnā vo sharārat se tirā dil ko churā kar
kyā DhūñDte ho ham se kaho kyā nahīñ miltā
'beḳhud' nigah-e-lutf pe de Dāliye dil ko
jo miltā hai sarkār se thoḌā nahīñ miltā
Top Urdushayar.com