adū ko dekh ke jab vo idhar ko dekhte haiñ
nazar charā ke ham un kī nazar ko dekhte haiñ
vo rakh ke haath se ā.īna tan ke baiTh ga.e
dahan ko dekh chuke ab kamar ko dekhte haiñ
kisī ke husn se ye ham ko bad-gumānī hai
ki pahle naama se ham nāma-bar ko dekhte haiñ
ye imtihān-e-kashish husn-o-ishq kā hai banā
na ham udhar ko na ab vo idhar ko dekhte haiñ
kabhī vo ā.īne meñ dekhte haiñ apnī shakl
kabhī vo 'beḳhud'-e-āshufta-sar ko dekhte haiñ