na kyūñ-kar nazr dil hotā na kyūñ-kar dam mirā jaatā
akelā bhejtā us ko vo ḳhālī haath kyā jaatā
janāze par bhī vo aate to muñh ko Dhāñk kar aate
hamārī jaan le kar bhī na andāz-e-hayā jaatā
tumhārī yaad merā dil ye donoñ chalte purze haiñ
jo in meñ se koī miTtā mujhe pahle miTā jaatā
terī chitvan ke bal ko ham ne qātil taak rakhā thā
kidhar maqtal meñ bach kar ham se ye tīr-e-qazā jaatā
mazā jab thā qayāmat tak na aatā hosh 'beḳhud' ko
pilā.ī thī jo mai saaqī ne itnī to pilā jaatā