Tajvar Najibabadi

ai aarzu-e-shauq tujhe kuchh KHabar hai aaj

Tajvar Najibabadi

Najeebabad, Uttar pradesh, India

1893-1951
ai ārzū-e-shauq tujhe kuchh ḳhabar hai aaj
husn-e-nazar-navāz harīf-e-nazar hai aaj
har rāzdāñ hai hairatī-e-jalva-hā-e-rāz
jo bā-ḳhabar hai aaj vahī be-ḳhabar hai aaj
kyā dekhiye ki dekh hī sakte nahīñ use
apnī nigāh-e-shauq hijāb-e-nazar hai aaj
dil bhī nahīñ hai mahram-e-asrār-e-ishq dost
ye rāzdāñ bhī halqa-e-bairūn-e-dar hai aaj
kal tak thī dil meñ hasrat-e-āzādī-e-qafas
āzād aaj haiñ to ġham-e-bāl-o-par hai aaj
Top Urdushayar.com