Sheikh Bimar Ali Bakhsh

fasl-e-gul sath liye bagh mein kya aati hai

Sheikh Bimar Ali Bakhsh

Bareilly, Uttar pradesh, India

1789-1854
fasl-e-gul saath liye baaġh meñ kyā aatī hai
bulbul-e-naġhma-sarā rū-ba-qazā aatī hai
dil dhaḌaktā hai ye kahte hue us mahfil meñ
yaañ kisī ko ḳhafaqāñ kī bhī davā aatī hai
aaj vo shoḳh hai aur kasrat-e-ārā.ish hai
dekh kis vāste pisne ko hinā aatī hai
kyā khule baaġh meñ vo chashm-e-hijāb-ālūda
aañkh uThāte hue nargis ko hayā aatī hai
jāñ-kanī husn-parastoñ ko girāñ kyā guzre
bhes meñ hūr-e-bahishtī ke qazā aatī hai
is liye rashk-e-chaman baaġh meñ gul hañste haiñ
ki uḌātī tirī raftār sabā aatī hai
maraz-e-ishq se 'bīmār' jo ghabrātā hai
yaar kahtā hai mujhe ḳhuub davā aatī hai
Top Urdushayar.com