kyā kyā na tere sadme se bād-e-ḳhizāñ girā
gul barg sarv fāḳhta kā āshiyāñ girā
likhne lagī qazā jo hamārī fatādgī
sau baar haath se qalam-e-do-zabāñ girā
jab pahuñche ham kināra-e-maqsūd ke qarīb
tab nāḳhudā jahāñ se uThā bādbāñ girā
mūbāf-e-surḳh choTī se kyā un kī khul paḌā
ek sā.iqa sā dil pe mire nā-gahāñ girā
tā āsmāñ pahuñch ke huī aah sar-nigūñ
yā rab ho ḳhair fauj-e-alam kā nishāñ girā
uTh kar chalā jo paas se un ke to ghar talak
har har qadam pe zof se maiñ nā-tavāñ girā
dekhā jo dasht-e-najd meñ hāl-e-tabāh-e-qais
mahmil se lailā kuud paḌī sār-bāñ girā
dozaḳh pe kyuuñ na ho dil-e-'bīmār' tāna-zan
ātish se ishq kī hai patiñgā yahāñ girā