kaun duniyā se bāda-ḳhvār uThā
chashm-e-tar abr-e-nau-bahār uThā
khā ke ġhash gir paḌe khaḌe baiThe
baiTh kar is adā se yaar uThā
ātish-e-ishq dekh kar mālik
al-amāñ al-amāñ pukār uThā
dard tāzīm-e-marg ko dil meñ
shab-e-furqat hazār baar uThā
jīte-jī daur-e-āsmānī meñ
na zamīñ se ye ḳhāksār uThā
abr-e-rahmat ne de diyā chhīñTā
baad marne ke jab ġhubār uThā
vahshat-e-dil ne phir nikāle paañv
phir tahammul kā iḳhtiyār uThā
phir junūñ fasl-e-gul meñ laayā rañg
phir maiñ hone ko sharmsār uThā
hāl-e-'bīmār' jā-e-riqqat hai
marham-e-dil kā e'tibār uThā
chor zaḳhm-e-jigar meñ baiTh gayā
chārāgar ho ke sharmsār uThā