daḳhl har dil meñ tirā misl-e-suvaidā ho gayā
al-amāñ ai zulf-e-ālam-gīr saudā ho gayā
go paḌā rahtā huuñ āb-e-ashk meñ misl-e-habāb
sozish-e-dil se magar sab jism chhālā ho gayā
ai shah-e-ḳhūbāñ tasavvur se tire ruḳhsār ke
chashm kā pardā be-ainihī lāl-e-pardā ho gayā
farq-e-rindān-o-malā.ik ab bahut dushvār hai
mai-kada us ke qadam se raushan aisā ho gayā
dāna-e-añgūr aḳhtar chāndnī mai maah jaam
nasr-e-tā.er bat qarābā charḳh miinā ho gayā
sunte haiñ taa.ib huā us but ke ghar jaane se tū
kyā tirā 'bīmār' patthar kā kalejā ho gayā