Sheikh Bimar Ali Bakhsh

dam na nikla yar ki na-mehrbani dekh kar

Sheikh Bimar Ali Bakhsh

Bareilly, Uttar pradesh, India

1789-1854
dam na niklā yaar kī nā-mehrbānī dekh kar
saḳht hairāñ huuñ maiñ apnī saḳht-jānī dekh kar
shaam se tā-sub.h-e-furqat sub.h se tā-shām-e-hijr
ham chale kyā kyā na lutf-e-zindagānī dekh kar
yuuñ to lākhoñ ġham-zada hoñge magar ai āsmāñ
jab tujhe jānūñ ki lā de merā saanī dekh kar
ab tap-e-furqat se ye kuchh zof taarī hai ki aah
dañg rah jaatī hai ham ko nā-tavānī dekh kar
vāste jis ke hue bahr-e-fanā ke āshnā
vo pasījā bhī na apnī jāñ-fishānī dekh kar
baaz aa 'bīmār' us ke ishq se jaane bhī de
taras aatā hai ye terī naujavānī dekh kar
Top Urdushayar.com