us kā javāb milnā jahāñ meñ muhāl hai
vo husn-e-lā-javāb ḳhud apnī misāl hai
ye aur baat hai ki na hoñ un ko iltifāt
vo ḳhuub jānte haiñ hamārā jo haal hai
tālib koī hai ek karam kī nigāh kā
kiije na rad kisī kā ye pahlā savāl hai
jitne haiñ duur utne hī dil ke qarīb haiñ
ham ko to daur-e-hijr bhī daur-e-visāl hai
ham bāda-kash to mai ko samajhte haiñ zindagī
ai vā.iz-e-buzurg tirā kyā ḳhayāl hai
duniyā meñ bā-kamāl mileñge galī galī
maiñ be-kamāl huuñ yahī merā kamāl hai
'shā.eq' tirī nazar kī javānī na jā.egī
pinhāñ tirī nazar meñ kisī kā jamāl hai