Riyazat Ali Shaiq

karta hai wo jafa to kare main wafa karun

Riyazat Ali Shaiq

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1946
kartā hai vo jafā to kare maiñ vafā karūñ
yuuñ apnī dostī kā farīza adā karūñ
us kā shi.ār vo hai ye merā shi.ār hai
us kī jafā ke naam maiñ apnī vafā karūñ
us kā kabhī javāb na aayā na aa.egā
ye jānte hue bhī use ḳhat likhā karūñ
va.ade pe us ke aane ke ghar ko sajā liyā
ab us ke ba.ad bhī na vo aa.e to kyā karūñ
ik lamha merī samt ko vo multafit to ho
vo hāl-e-dil sune to bayāñ mudda.ā karūñ
kī us ne har qadam pe jafāoñ kī intihā
maiñ bhī na kyuuñ vafāoñ kī phir intihā karūñ
jis ne mirī hayāt ko tārīk kar diyā
phir bhī maiñ us kī raah meñ raushan diyā karūñ
vo hai jo mere qatl kā sāmāñ kiye hue
merā nahīñ shi.ār ki maiñ bad-duā karūñ
ġhālib kī ye zamīn hai 'shā.eq' ḳhudā-gavāh
kyuuñ kar maiñ is zamīn kā rutba sivā karūñ
Top Urdushayar.com