phire haiñ dhun meñ tirī ham idhar udhar tanhā
tujhe talāsh kiyā hai nagar nagar tanhā
hamāre saath sabhī haiñ magar koī bhī nahīñ
ham anjuman meñ haiñ baiThe hue magar tanhā
gavāh haiñ rah-e-shauq-o-talab ke sannāTe
kiyā hai ham ne ye sabr-āzmā safar tanhā
chale ga.e haiñ na-jāne kahāñ sharīk-e-safar
mujhe hayāt kī rāhoñ meñ chhoḌ kar tanhā
bahut dinoñ se nahīñ tū rafīq-e-dīda-o-dil
bahut dinoñ se akelā hai dil, nazar tanhā
bhulāne vaale kabhī tū ne ye bhī sochā hai
tire baġhair hai kab se tirā 'zafar' tanhā