buto ye shīsha-e-dil toḌ do ḳhudā ke liye
jo sañg-dil ho to kyā chāhiye jafā ke liye
savāl yaar se kaisā kamāl-e-ulfat kā
ki ibtidā bhī to hai shart intihā ke liye
ḳhudā se tujh ko sanam māñgte to mil jaatā
magar adab ne ijāzat na dī duā ke liye
azāb-e-ātish-e-furqat se kāñptā thā dil
hazār shukr jahannam milā sazā ke liye
na dil lagā ke huā mujh se ishq meñ parhez
bigaḌ gayā jo kisī ne kahā davā ke liye
milā unheñ bhī talavvun mujhe bhī yak-rañgī
ḳhusūsiyat na rahī sarsar o sabā ke liye
ḳhudā ne kaam diye haiñ judā judā sab ko
sanam jafā ke liye haiñ to ham vafā ke liye
jahāñ-navard rahe ham talāsh-e-matlab meñ
chale na ek qadam ġhair-e-mudda.ā ke liye
mushā.ira meñ paḌho shauq se ġhazal 'bīmār'
ki musta.id haiñ suḳhan-sanj marhabā ke liye