Hakeem Manzoor

be-sud ek silsila-e-imtihan na khol

Hakeem Manzoor

be-sūd ek silsila-e-imtihāñ na khol
sab dekh dekhtā hī chalā jā zabāñ na khol
andar kā hī na ho zarā bāhar bhī dekh le
dil ḳhuun hai to aañkh pe ḳhūnīñ samāñ na khol
ik gard chhā.egī tire momī dimāġh par
thamne de āñdhiyoñ ko abhī khiḌkiyāñ na khol
chhup jā.egā kahāñ tire hisse kā āftāb
ai sāya-gard sar pe koī sā.ebāñ na khol
imkān ho to kar le havā se musālahat
be-fā.eda hai varna koī bādbāñ na khol
un se yaqīñ kī daulat-e-nāyāb maañg tū
āñkhoñ pe apnī koī fusūñ aur gumāñ na khol
'manzūr' harf harf qalam kā hisāb de
lekin fuzūl daftar-e-sūd-o-ziyāñ na khol
Top Urdushayar.com