ho aañkh agar zinda guzartī hai na kyā kyā
yuuñ aab meñ bujhte hue sho.ale kī sadā kyā
ai tū ki yaqīñ hai tujhe shīshe ke badan par
ehsās kī dastak par kabhī kaan dharā kyā
dīvār tahī naqsh har ik rañg se māyūs
kāġhaz ke liye mū-e-qalam sañg bachā kyā
mahfūz hamīñ reg-hisāroñ meñ hue the
kyā varna samundar kā guzar mauj-e-havā kyā
vo shaḳhs mire saa.e se rakhtā hai ta.alluq
merā hī yaqīñ TuuT gayā us kā gayā kyā
us barf ke insān kī taḳhlīq mirī thī
is dhuup kī nagrī meñ mile us kā patā kyā
ḳhud tiir hadoñ meñ hoñ abhī sach hai ye 'manzūr'
us chashm-giraftār ko mānūñgā ḳhudā kyā