mere sāmne mere ghar kā puurā naqsha bikhrā hai
kaash koī aisā hotā jo dekhe kyā kyā bikhrā hai
maiñ ne chāhā biite barsoñ ko bhī muTThī meñ bhar luuñ
is koshish meñ mere aaj kā lamha lamha bikhrā hai
pahle us ke saa.e ke rasiyā log the ab ye kahte haiñ
ye bhī koī peḌ hai jis kā pattā pattā bikhrā hai
shāyad aise hī be-manzil rahnā apnī qismat hai
ham kis raste ko apnā.eñ har ik rasta bikhrā hai
is kī kyā ta.abīr karūñ maiñ kuchh tū hī samjhā 'manzūr'
maiñ ne ḳhvāb meñ dekhā sahrā meñ ik dariyā bikhrā hai