har ek aañkh ko kuchh TuuTe ḳhvāb de ke gayā
vo zindagī ko ye kaisā azaab de ke gayā
na de sakā mujhe vus.at samundaroñ kī magar
samundaroñ kā mujhe iztirāb de ke gayā
vo kis liye mirā dushman thā jaane kaun thā vo
jo aañkh aañkh musalsal sarāb de ke gayā
ḳhalā ke naam atā kar ke chhāñv kī mīrās
mujhe vo jaltā huā āftāb de ke gayā
vo peḌ ūñchī chaTānoñ pe ab bhī tanhā haiñ
unhī ko saarī matā-e-sahāb de ke gayā
har ek lafz meñ rakh kar sarāb ma.anī kā
har ek haath meñ vo ik kitāb de ke gayā
maiñ kul huuñ aur tū juz meñ bhī kul hai ai 'manzūr'
bichhaḌte vaqt mujhe ye ḳhitāb de ke gayā