Hakeem Manzoor

koi payam ab na payambar hi aaega

Hakeem Manzoor

koī payām ab na payambar hī aa.egā
vo shab hai āsmān se patthar hī aa.egā
jā kar vo apne shahr se us ko yaqīn hai
paanī pe koī naqsh banā kar hī aa.egā
itnā badal gayā huuñ ki pahchānñe mujhe
aa.egā vo to ḳhud se guzar kar hī aa.egā
be-dar kā ik makān rulātā hai raat din
us kā bhī dil jo hogā kabhī bhar hī aa.egā
kyā soch ke gayā hai ḳhalāoñ kī sair ko
ab ke parind lauT ke be-par hī aa.egā
ḳhushbū kā intizār na kar baiTh kar yahāñ
shīshe ke is makān meñ patthar hī aa.egā
patthar koī fazā meñ muallaq rahegā kyuuñ
'manzūr' tai hai ye kisī sar par hī aa.egā
Top Urdushayar.com