safar hī koī rahegā na fāsla koī
ye ik ḳhayāl hai is par bhī tabsira koī
raqam huā huuñ yaqīn o qayās donoñ meñ
kare to kaise kare merā tajziya koī
vo dast-e-sañg hai maiñ ā.īna-girafta huuñ
na ho sakegā kabhī ham meñ tasfiya koī
zamīñ pe aa.e na aa.e ye vahm hai sab ko
ḳhalā kī god meñ paltā hai hādsa koī
maiñ ik lakīr kā qaidī huuñ bāvajūd is ke
har ik lakīr se miltā hai silsila koī
na jaane kis liye rotā huuñ hañste hañste maiñ
basā huā hai nigāhoñ meñ ā.īna koī
havā sulātī hai dāman meñ zard pattoñ ko
use bhī chāhiye jiine kā mashġhala koī
bhalā hai duur rahe ik harīf kī mānind
hai phir bhī saa.e kā mujh se muāmla koī
likhā gayā nahīñ 'manzūr' aaj tak shāyad
shafaq ke baab meñ sub.hoñ kā tazkira koī