chhoḌ kar bār-e-sadā vo be-sadā ho jā.egā
vahm thā merā ki patthar ā.īna ho jā.egā
maiñ baḌā ma.asūm thā mujh ko ḳhabar bilkul na thī
mere chhū lete hī vo merā ḳhudā ho jā.egā
dā.era-dar-dā.era hai sabz jañgal surḳh aag
kab havā jaage ye manzar kab havā ho jā.egā
be-muravvat rāstoñ se be-ḳhabar shāyad hai vo
phir kahīñ par merā us kā sāmnā ho jā.egā
saat rañgoñ kī jabīñ par vo likhegā apnā naam
jab vo apne rañg kā aks āshnā ho jā.egā
āftāb us raaz se nā-āshnā shāyad nahīñ
qaid-e-mehvar se kisī din ye rihā ho jā.egā
haath meñ le kar qalam 'manzūr' ye sochā nahīñ
kārobār-e-lafz meñ kyā fā.eda ho jā.egā