ajab sahrā badan par aab kā ib.hām rakkhā hai
ye kis ne is samundar kā samundar naam rakkhā hai
vahī ik din shahādat degā merī be-gunāhī kī
vo jis ne qatl-e-gul kā mere sar ilzām rakkhā hai
maiñ tum se pūchhtā huuñ jhīl-dal kī be-zabāñ maujo
tah-e-dāman chhupā kar tum ne kyā paiġhām rakkhā hai
kabhī bādal mere āñgan utartā pūchhtā maiñ bhī
kuhistāñ par barasnā kis ne terā kaam rakkhā hai
rahā hogā vo kitnā dil ġhanī dast-e-saḳhī jis ne
junūñ kī mumlikat kā ek patthar daam rakkhā hai
yahī nā phuul se bichhḌe to āvāra hoñ sahrā meñ
kahūñ kyā kis ne ḳhushbūoñ kā ye anjām rakhā hai
mujhe manzūr vo aqdār bhī radd sab kareñ jin ko
kisī ne soch kar 'manzūr' merā naam rakhā hai