ranjish tirī har dam kī gavārā na kareñge
ab aur hī māshūq se yārāna kareñge
bāñdheñge kisī aur hī joḌe kā tasavvur
sar dhyān meñ us zulf ke maarā na kareñge
imkān se ḳhārij hai ki huuñ tujh se muḳhātib
hamnām ko bhī tere pukārā na kareñge
yak baar kabhī bhūle se aa jaa.eñ to aa jaa.eñ
lekin guzar is ghar meñ dobārā na kareñge
kyā ḳhuub kahā tū ne jo kholūñ abhī āġhosh
milne se mire aap kinārā na kareñge
go ḳhaak meñ mil jaa.eñ ham aur vaz.a badal jaa.eñ
par tujh se mulāqāt ḳhud-ārā na kareñge
us nargis-e-'bīmār' se rakhte haiñ shabāhat
hargiz sū-e-ab.har bhī ishārā na kareñge