phuul ho kar phuul ko kyā chāhnā
jab ye be-āñgan thā jab thā chāhnā
zaḳhm saare hī haiñ apne jism-zād
kis sabab un kā tamāshā chāhnā
phir se ho tajdīd-e-ḳhushbū sochiye
chāhnā aur vo bhī apnā chāhnā
ek mushkil rāzdārī chāhiye
ek mushkil chāhatoñ kā chāhnā
dast-gīrī ai nam āñkhoñ vaalī sub.h
chāhnā kyā chāhnā kyā chāhnā
chāñd kī aayat samundar par paḌho
chāhnā us ko to aisā chāhnā
hasb-zā 'manzūr' merā naam hai
kaam merā sab kā achchhā chāhnā