saare ma.amūlāt meñ ik taaza gardish chāhiye
nam zamīñ par ḳhushk mausam kī navāzish chāhiye
shahr ke aa.iin meñ ye mad bhī likkhī jā.egī
zinda rahnā ho to qātil kī sifārish chāhiye
merī mushkil bhāgte lamhoñ ko pakḌūñ kis tarah
zid use an-dekhe ḳhvāboñ kī numā.ish chāhiye
bhejtā maiñ kis ko sub.hoñ kī kuñvārī raushnī
us ko būḌhī raat ke rañgoñ kī tābish chāhiye
sūkhte alfāz ke mausam meñ harf-e-tar huuñ maiñ
phir sazā pahle samā.at kī navāzish chāhiye
jo hamārā thā vo niklā āftāboñ kā halīf
kis ḳhudā se ab kahā jaa.e ki bārish chāhiye
bāryābī shart-e-ḳhāmoshī pe hai vo is tarah
pahle hī tafsīl-e-ahvāl-e-guzārish chāhiye
buz-dilī merī thī jo 'manzūr' maiñ zaḳhmī huā
vo sipar-bardār the un kī satā.ish chāhiye