Hakeem Manzoor

bhejta hun har roz main jis ko KHwab koi an-dekha sa

Hakeem Manzoor

bhejtā huuñ har roz maiñ jis ko ḳhvāb koī an-dekhā sā
us kī āñkheñ saarī ḳhushbū us kā badan ā.īnā sā
us ne bas itnā hī pūchā sabz chīnār ab kitne haiñ
sar se pā tak laraz uThā maiñ dil pe girā ik sho.ala sā
chaTTānoñ ke siine par bhī khul kar jo muskātā hai
sar-mastī kā sar-chashma hai vo ik paudā nanhā sā
logo lab kholo kuchh bolo jhelum hai maTiyālā kyuuñ
maiñ ne jab is ko dekhā thā ye thā ik ā.īnā sā
barf shagūfoñ ke mausam meñ kaash ik baar aa jaate tum
mere ḳhatoñ kī ḳhushbuoñ kā hotā kuchh andāzā sā
phir bhī ai 'manzūr' kisī par haath na ab tak uTThā merā
laḌne kā fan siikh liyā hai go maiñ ne bhī thoḌā sā
Top Urdushayar.com