Dhal gayā jism meñ ā.īne meñ patthar meñ kabhī
chhup sakā maiñ na kisī rañg ke paikar meñ kabhī
maiñ yahī nuqta-e-mauhūm rahūñgā na sadā
maiñ jhalak uTThūñgā āḳhir kisī manzar meñ kabhī
vo samundar kī baḌā.ī se hai mar.ūb ki vo
tishna-lab ban ke rahā hai na samundar meñ kabhī
tujh pe khul jā.eñge ḳhud apne bhī asrār ka.ī
tū zarā mujh ko bhī rakh apne barābar meñ kabhī
dekhte haiñ dar-o-dīvār harīfāna mujhe
itnā be-bas bhī kahāñ hogā koī ghar meñ kabhī
asl meñ kuchh bhī na thā chand lakīroñ ke sivā
ham bhī rakhte the yaqīñ harf-e-muqaddar meñ kabhī
us se kyā pūchhte ham apne ma.ānī 'manzūr'
phuul khilte nahīñ dekhe kisī banjar meñ kabhī