ḳhushbuoñ kī dasht se hamsā.egī taḌpā.egī
jis ko bhī hāsil huī ye āgahī taḌpā.egī
raushnī ko guñg hote jis ne dekhā ho kabhī
kis havāle se use tīra-shabī taḌpā.egī
kāḌhtā thā maiñ hī sañg-e-saḳht par resham se phuul
kyā ḳhabar thī ye nazar shā.istagī taḌpā.egī
ḳhvāb the pāyāb is kā dukh nahīñ kab thī ḳhabar
mujh ko ta.abīroñ kī ik be-qāmatī taḌpā.egī
maiñ na kahtā thā ki sho.aloñ se na karnā dostī
maiñ na kahtā thā ki ye dariyā-dilī taḌpā.egī
zāviya-dar-zāviya manzar badalte jā.eñge
aañkh saarī aañkh bhar ye zindagī taḌpā.egī
naġhme chup haiñ aur rut bhī kah rahī hai chup raho
kis ko ab dil kī ye nā-āsūdgī taḌpā.egī
aur ik din dasht bādal se churā.eñge nazar
aur mujh ko is kī ye be-ḳhāngī taḌpā.egī
kuchh na kuchh 'manzūr' dil se rābta rah jā.egā
us ko mujh se dostī yā dushmanī taḌpā.egī